Hello Dosto,,
Mai Apko Wo Har Ek Trick Shikhaunga Ko Mujhe Aati Hai Pahle Mai Editing Bhi karta tha Or Maine Us Samay bhi bahut Logo ki Help ki Thi Editing Mai Editing Mai Bhi Bahut Si Tricks Hoti Hai Puraane Editors to ye trick jante hai magar jo naye editor rahte hai wo ye Nahi Jante Isi liye mai unki help karne ke liye aapko Editing Se Judi Har ek post Karunga Ki Kaise Photo Mai Oil paint Karte Hai, Neon editing Kaise Hoti hai Or bhi Bahut Si Tricks But Aaj Mai Aapko Png Create Karna Shikhaunga Jo Ki Apne aap Shikha Hai aap aapke Sath bhi Ye Trick Share Karunga...
Png Kya Hoti hai Ye maine Apko apni Pichli Post Me Btaya hai..
*' PicsArt Se Stylish Photo Edit Kaise Kare
Aap Pad Sakte Hai.. jo trick mai Apko Btane Ja Raha Hun Isse aap Text Png Ya Logo Etc bna Sakte Hai... or aap phir apni bnayi Hui Png Apni Edit Pic Par Lga Sakte Hai Or Apne Friend ke Sath Bhi Share Kar Sakte Hai...
Or Aap Apne Liye Logo bhi Bna Sakte Hai Ya kisi or ke liye bhi bna Sakte hai....
Apka Jyada Samay Na Lete Huye Kaam ki Baat par Aa Jate Hai...
👉PNG kaise Bnaye ( How To Create Png )
Ab Jo main Apko btaunga Aap Step by Step Wahi Kare Phir Aap Bhi Text Png Create kar Sakoge....
Sabse Pehle Aap Upar 👆ki Image Download Kar le Wo Aapko Dikhai nahi de rahi Hogi Kyuki Ye Full Transparent image hai Aap upar Click kare Jaha Par Aapko Gap Dikh Raha hai Or Download Kar le Iske Bina Aap Png Nahi Bna Paoge..
Step: 1 - Ab aapko Ek app Download Karna Hai Jo ki aap Yaha Se Download kar le
Download Phonto Apk
Download Hone Ke Baad Aage ke Step Kare..
Step: 2 - Ab Aap phonto app open karo
Jab aap App open karoge To Wah Blank Rahega Phir Apko Apne Phone Ke Jo Home Button hai Left Side Ka 1st Button press Karna Hai Phir Apke Paas bhi Yah Setting Ka Option Hoga Ab Aap Ispar Click Kare..
Step: 3 - Ab New Page Open Hoga Kuch Aisa
Ab Aapko Ye Option Dikhai Denge Apko Output Format Par Click karna hai jaisa ki upar Image me Dikhaya Gya Hai..
*" Photo Ka Background Kaise Change Kare Janiye Hindi Me
Step: 4 - Ab Apko is Tarah Se Dikhai Dega
Ye dekhiye Ab Aapke Samne Ye page open hoga Ab Aap PNG par Click Kare Or Phir Phonto App ke Home Page Par Aa Jaye..
Step: 5 - Ab Aap Phonto App Ke Home Page Par Ho..
Ab Aap upar photo Me Dekhiye Jaha par Red Box Se Nishan Lgaya gya Hai Waha par Aapko Click Karna hai.. Click karne ke Baad Aap Apni Gallery Open kare Or Ab Apko Yaho Par Wo Image Select Karni hai jo maine Apko upar Transparent Image Di Hai Usko Select kar le....
Step: 6 - Ab Aapko wo image Select karne ke baad kuch is tarah Se Dikhega .
Apko Ye Page Is Tarah Dikhega Ab aap Upar Diye Gye ✒ Ke Icon Par Click Kare jisepar Red Kiya hai...
Step: 7 - Ab Aap ye page ko Dekhenge
Ab Isme Jaha par Maine Tricks Hindi Me Likha Hai Aap Waha Par Apna Text Likhe Jo Bhi Aap Likhna Chahe...Text Likhne Ke Baad Niche Done Par Click Kar De...
*" Android Mobile Se Template Kaise Edit Kare
Step: 8 - Jab aap done Karoge to Ye Page Opne Hoga..
Ab Aapko 6 Option Dikhenge Jinparaine Red Box Kiya Hai Ab Aapko Mai In Sabka Matlab Btaunga...
1 - Text - Text mai Click karke aap usko change kar sakte ho jo aapne likha hai jaise Maine Tricks Hindi me Likha hai...
2 - Font - font par click karke aap font change kar sakte ho aap apni marzi se koi sa bhi font select kar sakte ho...
3 - Style - Style par Click karke Aap text Ka Color Change kar sakte hai apne pasand ke
4 - Size - Ispar Click karke Aap Text ka Size Kam Ya Jyada kar Sakte hai
5- Tilt - ispar click karke Aap Text Ko Ghuma Sakte Hai.
6- Move - Move par Click karke Aap Text ko Apni Marzi Se Lga sakte Hai Photo ke bich ya last par...
Step: 9 - Ye sab Karne ke Baad Apke Samne Aisa Page Hoga
Ab Aap Upar Right Side Mai Save ke icon par Click kar De Bas Ab Aapki Png Ban Chuki Hai Agar Aap isme Or Text likhn Chate Hai To ✒ ke icon par click karke likh sakte Hai...
AGAR AAPKO YE POST ACHI LAGI HO TO DOSTO KE SATH BHI SHARE OR COMMENT KARKAR BHI BTAYE APKO POST KAISI LAGI AGAR KUCH PUCHNA HO TO COMMENT KARE....
#SUPPRBB_WEBSITE
ReplyDeleteBAHUT KUCH SIKHNE KO MILA
:)DHANAYAD
SHADOW DALNA AATA HAI BHAI TEKO??
ReplyDeleteTHANK YOU SOOOOOOOO MUCH 😍
ReplyDeleteyou can download all category free without Password zip file.
ReplyDelete