Sunday, 6 March 2016

4G Ke Baare Me Kuch Sujhav


Hello Dosto,,
Aaj me apko is post me koi tricks nahi bta raha hun balki yeh bta raha hun ki 4G kya hai or sabse pehle 4G kis compny ne india me Launch Kiya or 4G Kitna fast Chalta Hai kya 4G apka Phone Support kare or bahart kis tarah ka 4G istemaal karta hai or bhi kuch baate apko is article me btaunga

*"  Photo Ka Background Kaise Change Kare Janiye Hindi Me

Dher saare advertisement ke saath Airtel 4G ki sewa shuru hone ke baad India ke Internet Users ke mann mein kai swaal uthrahe hain. Yeh Kitna tez hoga, Kitna Mehnga hoga, Kaha-kaha milega, Kaise chalega aur bhi kai swaal hain.Inme se 10 main questions aur unke answer diye ja rahe hain.
To Chale Aage badte hai...

1 - 4G Kitna Fast Chalta hai?

Agar aap Bharat mein 4G connection lete hain to aapko 3G ke mukable bahut behtarSpeed milegi.
Airtel 4G par 6-8 MBPS ki speed milti hain, Jabki Airtel ke 3G par 1-3 MBPS ki speed milti hain. Lekin jaise-jaise log 4G ka istemal badhayenge, Vaise-Vaise iski speed kam hoti chali jayegi, Khas-karke Delhi jaise busy cities mein. Aisa hi 3G ke saath bhi hua tha.

*" Android Mobile Ka IMEI Number Dekhe Online

2- Kya mera Handset ise support karega ?

Yah baat har kisi ke man mai Rahti hai ki kya mera handset 4G Support kar Sakta hai.
Agar aapne Isi saal latest phone khareeda hain to ummeed hain ki 4G support karega. Lekin yeh aapke operator ke 4G Network par kaam karega ya nahi, Yeh janane ke liye aapko apne operator se puchna hoga. Airtel ke liye aap unki website par  apna number daal kar pata kar sakte hain. Is samay market mein bahut se 4G Handset mauzood hain. InmeSamsung, Motorola, Micromax, Xiaomi aurdusri companies ke smartphone hain. Inme se kuch to 10,000 rupaye se bhi kam keemat ke hain.Agar aapka Handset aapke operator ke 4G par kaam nahi karta  to ise 3G par kaam karna chahiye.

3 - Kya Ispar Hum Paise kharch kare ?

Agar aap mobile se Internet ka use karte hain to 4G par paisa kharch karna accha ho sakta hain, Khas-karke tab jabki yeh 3G ki keemat mein mil raha hain. Halaki baad mein iske rate badhaye ja sakte hain, Lekin iski sambhavna kam hain. Iski wajah yeh hain ki competition badh gya hain. 4G bahut shandar Portable Broad band bhi hain aur 4G Dongle ke saath  ghar mein istemal ke liye temporary option bhi ban sakta hain.

4 - Sabse Pehli 4G Service India Me Kon Si  Thi..?

August 2015 tak 296 cities aur areas mein 4G Mobile Service shuru karke Airtel saaf taur par Reliance Geo aur Vodafone se aage nikal gya hain. Airtel hi pahli company hain jisne 2012 mein Kolkata mein "Broadband Wireless Access" ke liye pahli 4G Service shuru ki thi. Is company ne February 2014 mein Bengaluru mein pahli baar 4G sewa shuru ki thi. August 2014 tak ek aur operator Aircel ne 6 Statesmein 4G Broadband sewa shuru ki, Lekin yeh gair mobile seva thi.

*" Android Mobile Se Template Kaise Edit Kare

5 - India Kis Tarah Ka 4G Use Karta Hai.?

India LTE naam ki technique ka istemal karta hain jo ki 4G ke liye 2300 MHz Frequency Spectrum par kaam karta hain. LTE pahli baar 2009 mein Europe mein istemal ki gyi thi. Ek aur technique WiMax bahut acchi tarah se nahi chali aur ab kuch ki countries mein iske istemal kiya ja raha hain.

6 - Kya 4G Mehnga Padega.?

Airtel ne 4G ka rate 3G ke barabar hi rakha hain, Lekin aap jyada kharch kar sakte hain. Isme Data jyada tezi se istemal hota hain. Aap 4G mein jyada Video dekh sakte hain. Yeh 3G ke mukable yeh jyada behtar quality ke hote hain aur asaani se chalte hain. Aap Whatsapp aur Email par jyada tezi se pictures download ya upload kar sakte hain. or aap Youtube par online videos bhi dekh sakte hai or aap downloading bhi karenge kyuki aapko lagega ki yah bahut hi fast downloading kar raha hai..

7 - Meri City mein kya yeh kaam karega?

Mumbai aur Gurgaon jaise kai big aur busy cities mein coverage ek jaise nahi hota hain. Kai jagaho par toh Jaroori mobile tower bhi nahi hain. Delhi mein Municipal Corporation ne bahut saare tower hata diye hain. Vaha kuch jagah mobile coverage bahut gadbad ho gyi hain aur lagatar call drops hoti hain. Par yeh problem 4G tak hi simit nahi hain.

8 - Ab Kaun-Kaun si companies 4G service shuru kar rahi hain?

Reliance Company ke Owner Mukesh Ambani ki Reliance Geo December 2015 mein 4G service zor-shor se shuru karne ka plan bana rahi hain. Isne 5 years mein Gadgets aur tower install karne ke liye 14 Arab Doller yani ki takreeban 9.20 Kharb rupaye se jyada kharch kiye hain. Dusri aor Airtel ne pichle 20 saal mein gadgets par 15 Arab Dollar yani ki 9.86 Kharab rupaye se jyada kharch kiye hain. Iske alawa isi financial year mein Vodafone aur Idea bhi apne 4G service shuru karenge.

*" PicsArt Se Stylish Photo Edit Kaise Kare

9 -  Kya Accha offer ka wait karna chahiye ?

Ise lene ka yahi accha samay hain. Airtel 4G users ko kai gift bhi de rahi hain, jaise Unlimited Voice calls, Movies aur Music. Iske alawa iske Wynk mobile app par aap 25,000 movies aur 18 Lakh songs stream kar sakte hain. Iske liye aap Airtel ne Flipkart ke samjhauta kiya hain, Agar aap Flipkart se Koi bhi 4G smartphone khareedte hain to Airtel ka 4G Sim saath mein milta hain.

10 - Paise bachane ka sabse accha tarika kya hain?

Chunki 4G bahut tez hain, Isliye aapko lalach hota hain ki aap jyada pictures aur video download kar le. Isse bachna hi theek rahega. Example ke liye Whatsapp par "Auto Download Media" ka option ko Mobile data par band karke rakhna chahiye. Iske saath hi "Mobile Data Roaming" setting ko bhi off rakhe.Iske saath hi koshish kare ki jab bhi possible ho to pictures aur Video download karne ke liye Wi-Fi ka istemal kare.


AGAR APKO YE ARTICLE ACCHA LGA HO TO AAP IS POST KO APNE DOSTO KE SATH BHI SHARE KARE....

0 comments:

Post a Comment

Comments Karne ke liye aap logo ka bhaut bahut dhnywaad....

Guest Post Kaise Kare

Agar aap Tricks Hindi Me
Guest post karna chatey hai to===> click Here
Thanks For Supporting Maine Aap logo ki Help karne ke liye Ek YouTube Channel Bnaya hai or aap ko sahi se smjhaya ja sake .... OR YouTube Channel Hindi Me Bnaya Hai Channel ko Search Kare YouTube Me Channel ka Naam ========= Minded Master Channel Link ×××. https://www.youtube.com/channel/UCIJ4kDDWs-qjw1TNLsYzuAw