Thursday, 3 March 2016

WhatsApp Par Password Kaise Lgaye

WhatsApp Par Password Kaise Lgaye
Hello Dosto,,
WhatsApp par lock/passward Kaise lgate hai aaj isi baare me mai post karne ja raha hun hum sabko pta hai ek time aisa tha jab log Ek dusre se baat karne ke liye Part (chithi) likhte the or wo chithi 5 ya 10 din me pahuchti thi lekin uske baad ☎ Telephone aaye uske baad ab Mobile or mobile ke aate hi jaise puri duniya apki muthi mai ho gyi Phir logo ko internet ki jankari hone lagi Phir Facebook Phir wahtsapp or WhatsApp ek Aisa social network ban gya ki ab har koi WhatsApp use karta hai or ab chatting ka jariya ban gya hai
or WhatsApp mai hamare kuch important msg , chats hote hai jinko hum safe rakhna chate hai par Kaise?
yahi aaj mai btaunga apni post par


WhatsApp Me Password kyu lgaye?

Whats app Ko Password Kaise Lagaye. Jab hum apni saari baaten doosron se share karte hain to huamre mobile mein whatsapp ke karan kuch batein, photos aur videos aisay hoti hain jinhen hum sab ko batana nahin chahte hain. Aisi sthiti mein zaroori hai ki hum apne mobile mein whatsapp ko lock karke rakhen jisse kisi ke haath mein humara mobile aa jane par woh hamare mobile  ki whatsapp suvidha ka durpayog nahin kar sake. Aaiye jaaneki Whatsapp me password kaise lgaya jaiye.


WhatsApp Me Password Kaise Lgaye?

1- WhatsApp Lock
Download WhatsApp Lock

Whats app Ko Password Kaise Lagaye. Pehla app Whatsapp lock naam se hai. Jo apke Whatsapp ko lock karne ke liye achcha app hai. Aur aapki samast gopniya jaankari ko aapke dwara diye gaye password se lock kar deta hai. Ismay appko 4 ankon ki sankhya password banakar deni hoti hai. Is app mein yeh khasiyat hai ki yeh app us vyakti ka photo le leta hai jo aapke whatsapp ko dekhne ke liye galat password dalta hai. Is prakar aapke peeche se apke whatsapp ko password dalkar kholne ki koshish karne wale vyakti ko aap pehchaan sakte hain.

WhatsApp Lock App Ko Kaise Use kare...?

Whats app Ko Password Kaise Lagaye. Sabse pehle apko Whatsapp Lock application ko Upar diye gye link se download  kar le phir  Whatsapp Lock ko install karen.Iske baad jab Whatsapp Lock ka installation pura ho jaayega to aap apni mobile screen par dekhenge ki likha aayega   Enter Your PIN(Only 4 digits Pin)  
 Iska matalab hai ki aap koi 4 ankon wali sankhya type karen.Ab sankhya daalne ke baad aap dekhenge ki Whatsapp Lock dwara ON aur Off button dikhaye jaayenge, jise apko select karke batana hia ki abhi apko Whatsapp mein Lock rakhna hai ya nahin.Iskay saath hi apko screen par Autolock time setting dikhai degi. Iska matlab hai ki woh samay jab aapke mobile mein apne aap hi Whatsapp kitni der mein lock ho jaaye. Aap iskay liya 15 minute ka samay le sakte hai.Iskay baad aap sabse ant mein Whatsapp Lock ko ON karne ke liye ON Ka button chunen.

Bas Ab Ho gya Apko WhatsApp Lock...

AGAR APKO YE POST ACHI LAGE TO APNE DOSTO KE SATH JARUR SHARE KARE OR HA COMMENT BHI KARE..

Related Posts:

  • Latest WhatsApp Trick Hello Friends.... Aaj me Apko shikhane ja Raha Hu. WhatsApp ki kuch Latest And Old Tricks Jo ki aapke Puri Tarah Se kaam Aane Wali Hai or Apko F… Read More
  • WhatsApp Par Password Kaise Lgaye WhatsApp Par Password Kaise Lgaye Hello Dosto,, WhatsApp par lock/passward Kaise lgate hai aaj isi baare me mai post karne ja raha hun hum sabko p… Read More

0 comments:

Post a Comment

Comments Karne ke liye aap logo ka bhaut bahut dhnywaad....

Guest Post Kaise Kare

Agar aap Tricks Hindi Me
Guest post karna chatey hai to===> click Here
Thanks For Supporting Maine Aap logo ki Help karne ke liye Ek YouTube Channel Bnaya hai or aap ko sahi se smjhaya ja sake .... OR YouTube Channel Hindi Me Bnaya Hai Channel ko Search Kare YouTube Me Channel ka Naam ========= Minded Master Channel Link ×××. https://www.youtube.com/channel/UCIJ4kDDWs-qjw1TNLsYzuAw